chicken biryani recipe ☺️
chicken biryani recipe ☺️ | Chicken biryani ek mashhoor aur lazeez desi dish hai jo har ghar me shoq se banai jati hai Is recipe me hum asan tareeke se ghar jesi restaurant style biryani tayar kar sakte hain Sab se pehle chicken ko dahi adrak lehsan lal mirch haldi namak aur biryani masala ke sath achi tarah marinate kar lein Tora waqt den taki masalay chicken me ache se jazb ho jayein Degchi me tail garam kar ke piyaz sunehri hone tak fry karein Phir sabit garam masalay dalain aur marinated chicken shamil kar ke achi tarah bhunai karein Jab chicken gal jaye to side par rakh dein Ab basmati chawal ko namak aur sabit masalon ke sath adha gala lein Ab layer banayein pehle chicken phir chawal Upar se podina hara dhaniya hari mirch aur fry piyaz dalain Zarda rang ya doodh dal kar degchi ko dhak dein Halki aanch par dum lagayein Dum se biryani ki khushboo aur zaiqa dono barh jate hain Garam garam chicken biryani ko raita salad aur lemon ke sath serve karein Ye recipe khas moqon par bhi perfect hai Aur rozana khane ke liye bhi behtareen hai Ghar ki bani biryani pyar aur zaiqay se bhari hoti hai Jo sab ko bohat pasand aati hai.
-
सितारे
-
निर्माता
-
रिहाई
-
देश
-
गुणवत्ता
-
श्रेणी
