Shaadi kisi aur ki hai, par shopping ki tension mujhe hai! Matlab love story unki, lekin stress mera! Ab samajh nahi aata ke outfit unka match karoon ya apna mood! 💅
Har jaga bas ek hi sawaal — "Kya pehnun?" 😩 Wardrobe full hai par phir bhi “kuch pehnne ko nahi!” ka classic drama chal raha hai. Mehndi ka joda alag, baraat ka look alag, aur walima pe to bas sabko impress karna hi farz lagta hai!